lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aae the kya aae kya chale
tum chashm-e-surmagin ko jo apni dikha chale
baiThe biThae KHak mein hum ko mila chale
diwana aa ke aur bhi dil ko bana chale
ek dam to Thahro aur bhi kya aae kya chale
hum lutf-e-sair-e-bag-e-jahan KHak uDa chale
shauq-e-visal dil mein liye yar ka chale
ghairon ke sath chhoD ke tum naqsh-e-pa chale
kya KHub phul gor pe meri chaDha chale
dikhla ke mujh ko nargis-e-bimar kya chale
aawara misl-e-ahu-e-sahra bana chale
ai gham mujhe tamam shab-e-hijr mein na kha
rahne de kuchh ki subh ka bhi nashta chale
bal-be ghurur-e-husn zamin par na rakkhe panw
manind-e-aftab wo be-naqsh-e-pa chale
kya le chale gali se teri hum ko jun nasim
aae the sar pe KHak uDane uDa chale
afsos hai ki saya-e-murgh-e-hawa ki tarah
hum jis ke sath sath chalen wo juda chale
kya dekhta hai hath mera chhoD de tabib
yan jaan hi badan mein nahin nabz kya chale
qatil jo tere dil mein rukawaT na ho to kyun
ruk ruk ke mere halq pe KHanjar tera chale
le jaen tere kushte ko jannat mein bhi agar
phir phir ke tere ghar ki taraf dekhta chale
aaluda chashm mein na hui surme se nigah
dekha jahan se saf hi ahl-e-safa chale
roz-e-azal se zulf-e-moambar ka hai asir
kya uD ke tujh se tair-e-nikhat bhala chale
sath apne le ke tausan-e-umr-e-rawan ko aah
hum is sara-e-dahar mein kya aae kya chale
suljhai zulfen kya lab-e-dariya pe aap ne
har mauj misl-e-mar-siyah tum bana chale
duniya mein jab se aae raha ishq-e-gul-ruKHan
hum is jahan mein misl-e-saba KHak uDa chale
qatil se daKHl kya hai ki jaan-bar ho apna hosh
gar uD ke misl-e-taer rang-e-hina chale
fikr-e-qanaat un ko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke jo hirs-o-hawa chale
is ru-e-atishin ke tasawwur mein yaad-e-zulf
yani ghazab hai aag lage aur hawa chale
ai 'zauq' hai ghazab nigah-e-yar al-hafiz
wo kya bache ki jis pe ye tir-e-qaza chale
Ghazal
Lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
Sheikh Ibrahim Zauq