leta hai jaan meri to mein sar-ba-dast hun
ai yar main to kushta-e-roz-e-alast hun
ek dam ki zindagi ke liye mat uTha mujhe
ai be-KHabar main naqsh-e-zamin ki nishast hun
tu mast kar sharab se ai gul-badan mujhe
zalim main teri chashm-e-gulabi se mast hun
dur-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida
gar tu KHuda-parast hai main but-parast hun
in sang-dil buton ka gila kya karun 'nazir'
main aap apne shisha-e-dil ki shikast hun
Ghazal
Leta hai jaan meri to mein sar-ba-dast hun
Nazeer Akbarabadi