le jaun kahin un ko badan par hi rakkhun
main apni KHalaon ko pur-asrar hi rakkhun
aankhon se girun aur uThun dasht-e-falak tak
pani hun to sathen meri hamwar hi rakkhun
duniya ko bhi le aaun kabhi nok-e-zaban tak
ghaeb hai jo us ko sar-e-izhaar hi rakkhun
lamhon ki daraDon mein ugaun koi jazba
hai waqt khanDar to use mismar hi rakkhun
ijad karun sat samawat ka chehra
chehre pe tere lams ko bedar hi rakkhun
anfas ke nuqte mein simaT aaun 'riyaz' ab
yun apne bikharne ke kuchh aasar hi rakkhun
Ghazal
Le jaun kahin un ko badan par hi rakkhun
Riyaz Latif

