lazzat-e-dard-e-alam hi se sukun aa jae hai
dil mera un ki nawazish se to ghabra jae hai
garche hai tarz-e-taghaful parda-dar-e-raaz-e-ishq
par hum aise khoe jate hain ki wo pa jae hai
bazm mein mere adu hain un se un ka irtibaat
aisa manzar kab meri aankhon se dekha jae hai
dil ki dil hi mein rahi ye hasrat-e-didar bhi
meri nazren uThte hi wo mujh se sharma jae hai
jab na mahshar mein bhi hoga un ka mera samna
aaj ji-bhar kar taDap lun jitna taDpa jae hai
kya sahar hone se pahle hi firaq-e-jaan hai
dil mera kuchh sham hi se aaj baiTha jae hai
aag furqat ki jo bhaDki jal gae qalb-o-jigar
ai 'zahir' aatish-kade mein kis se Thahra jae hai

Ghazal
Lazzat-e-dard-e-alam hi se sukun aa jae hai
Sayyad Zahiruddin Zaheer