latif aisi kuchh is dil ki shisha-kari thi
ki ek raat bhi hum ahl-e-dil pe bhaari thi
hazar marke sar kar ke log haar gae
husain-ibn-e-ali! fath to tumhaari thi
usi ke sae mein sustae us ke bairi bhi
us aadmi mein daraKHton si burdbari thi
lahu ki aag mein dil jhulsa jhulsa jata tha
daricha khol ke dekha to barf-bari thi
qatil ho ke bhi main apne qatilon se laDa
ki mere baad mere doston ki bari thi
shajar pe buzne baiThe unhen bulate the
magar parindon ki parwaz-e-naz jari thi
har ek zarb ko dil sah gaya magar 'rahi'
jo dast-e-gul ke sabab thi wo zarb kari thi
Ghazal
Latif aisi kuchh is dil ki shisha-kari thi
Shujaat Ali Rahi