lamhe uljhan ke qarib aa pahunche
sae rahzan ke qarib aa pahunche
aansuon se hi bujha le nadan
shoale daman ke qarib aa pahunche
kaun mujrim ko bacha sakta hai
hath daman ke qarib aa pahunche
shisha-o-mai jo kabhi raqs mein the
sang-o-ahan ke qarib aa pahunche
ab to apnon pe bharosa na raha
dost dushman ke qarib aa pahunche
shor sun kar meri ruswai ka
wo bhi chilman ke qarib aa pahunche
hum riwayat ko pighla ke 'nushur'
ek nae fan ke qarib aa pahunche
Ghazal
Lamhe uljhan ke qarib aa pahunche
Nushur Wahidi