اردو हिंदी
Lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui | Shaahi Shayari
lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

Ghazal

Lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

Azad Gulati

;

lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui
kaT rahi hai zindagi KHud ko fana karti hui

teri chup hai ya mere andar macha kohram hai
koi shai to hai zaban ko be-nawa karti hui

apne andar reza reza TuT kar bikhra hun main
hai ye kya shai chor dil ka aaina karti hui

kisht-e-jaan se din ko kaTti hai nae zaKHmon ki fasl
raat aati hai inhen phir se hara karti hui

mere hone se na hone ka sabab paida hua
mujh ko hasti hi thi KHud mujh se juda karti hui

maut to 'azad' hai aazadiyon ka ek jahan
zindagi hai har nafas KHud ko riha karti hui