laKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha
ashk-e-faqat ka jhamka aankhon se lag raha tha
daman mein aaj dekha phir laKHt main le aaya
TukDa koi jigar ka palkon mein rah gaya tha
us qaid-e-jeb se main chhoTa junun ki daulat
warna gala ye mera jun tauq mein phansa tha
musht-e-namak ki KHatir is waste hun hairan
kal zaKHm-e-dil nihayat dil ko mere laga tha
ai gard-baad mat de har aan arz-e-wahshat
main bhi kasu zamane is kaam mein bala tha
bin kuchh kahe suna hai aalam se main ne kya kya
par tu ne yun na jaana ai bewafa ki kya tha
roti hai shama itna har shab ki kuchh na puchho
main soz-e-dil ko apne majlis mein kyun kaha tha
shab zaKHm-e-sina upar chhiDka tha main namak ko
nasur to kahan tha zalim baDa maza tha
sar mar kar hua tha main KHak us gali mein
sine pe mujh ko us ka mazkur naqsh-e-pa tha
so baKHt-e-tira se hun pamali-e-saba mein
us din ke waste main kya KHak mein mila tha
ye sar-guzasht meri afsana jo hui hai
mazkur us ka us ke kuche mein ja-ba-ja tha
sun kar kisi se wo bhi kahne laga tha kuchh kuchh
be-dard kitne bole han us ko kya hua tha
kahne laga ki jaane meri bala azizan
ahwal tha kisi ka kuchh main bhi sun liya tha
aankhen meri khulin jab ji 'mir' ka gaya tab
dekhe se us ko warna mera bhi ji jala tha
Ghazal
LaKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha
Mir Taqi Mir