lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
phulon ke ras mein chand ki kirnen mila ke la
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
ja mai-kade se meri jawani uTha ke la
saghar-shikan hai shaiKH-e-bala-nosh ki nazar
shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la
kyun ja rahi hai ruTh ke rangini-e-bahaar
ja ek martaba use phir warghala ke la
dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr
achchha to ja 'adam' ki surahi uTha ke la

Ghazal
Lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
Abdul Hamid Adam