lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate
yahan dhup aa nahin sakti wahan sae nahin jate
kisi mahfil mein bhi aise chalan pae nahin jate
ki bulwae hue mehman uThwae nahin jate
zamin par paun rakhne de unhen ai naz-e-yaktai
ki ab naqsh-e-qadam un ke kahin pae nahin jate
tujhe ai dida-e-tar fikr kyun hai dil ke zaKHmon ki
ki be-shabnam ke bhi ye phul murjhae nahin jate
junun walon ko kya samjhaoge ye wo zamana hai
KHirad wale KHirad walon se samjhae nahin jate
waqar-e-ishq yun bhi shama ki nazron mein kuchh kam hai
patinge KHud chale aate hain bulwae nahin jate
fazilat hai ye insan ki wahan tak ja pahunchta hai
farishte kya farishton ke jahan sae nahin jate
bas itni baat par chhini gai hai rahbari hum se
ki hum se karwan manzil pe luTwae nahin jate
'qamar' ki subh-e-furqat puchhiye suraj ki kirnon se
sitare to gawahi ke liye aae nahin jate
Ghazal
Lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate
Qamar Jalalvi

