اردو हिंदी
Laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni | Shaahi Shayari
laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni

Ghazal

Laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni

Iqbal Sajid

;

laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni
bashar ke nam kar di hai KHuda ne kaenat apni

KHala ke aar bhi main hun KHala ke par bhi main hun
ubur ek pal mein karta hun hudud-e-mumkinat apni

jiyunga apni marzi se marunga apni marzi se
mere zer-e-tasallut hai fana apni hayat apni

likhi hai main ne apne hath par tahrir-e-ainda
meri apni wirasat hai qalam apna dawat apni

main KHud par aazmaunga KHud apna aaKHiri daw
KHabar hai mujh ko 'sajid' jit ban jaegi mat apni