اردو हिंदी
Lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila | Shaahi Shayari
lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila

Ghazal

Lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila

Abdul Ahad Saaz

;

lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila
misra-e-ula hi mein misra-e-sani phaila

kahin chhupa hota hai dawam kisi lamhe mein
yun to hai sadiyon pe jahan-e-fani phaila

danai ki duniya tang hai pechida hai
ya-rab kuchh aasani kar nadani phaila

daman-e-tar hi mein to hai ashkon ki nami bhi
rahne de dharti par yunhi pani phaila

manfaten hi darj hain sab ki fard-e-amal mein
waraq kushada kar thoDi nuqsani phaila

kirdaron ki pahchanen gum hone lagi hain
mere lekhak itna bhi na kahani phaila