اردو हिंदी
Labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi | Shaahi Shayari
labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi

Ghazal

Labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi

Mohsin Naqvi

;

labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi
main jashn-e-fath manata hun jang haar ke bhi

use lubha na saka mere baad ka mausam
bahut udas laga KHal-o-KHad sanwar ke bhi

ab ek pal ka taghaful bhi sah nahin sakte
hum ahl-e-dil kabhi aadi the intizar ke bhi

wo lamha bhar ki kahani ki umr bhar mein kahi
abhi to KHud se taqaze the iKHtisar ke bhi

zamin oDh li hum ne pahunch ke manzil par
ki hum pe qarz the kuchh gard-e-rahguzar ke bhi

mujhe na sun mere be-shakl ab dikhai to de
main thak gaya hun faza mein tujhe pukar ke bhi

meri dua ko palaTna tha phir udhar 'mohsin'
bahut ujaD the manzar ufuq se par ke bhi