lala-ruyon se kab faragh raha
ek na ek gul ka dil pe dagh raha
naz-e-beja uThaiye kis ke
ab na wo dil na wo dimagh raha
kab miTa ishq ka nishan dil se
zaKHm achchha hua to dagh raha
ek nazar jis ne tujh ko dekh liya
umr bhar darpai-e-suragh raha
yaad mein kis ki zamzame bulbul
muddaton ham-nawa-e-zagh raha
kabhi nazzara-e-chaman na kiya
apne daghon se bagh bagh raha
dil ko afsurdagi si hai ai 'rind'
sair-e-gul ka kise dimagh raha
Ghazal
Lala-ruyon se kab faragh raha
Rind Lakhnavi