اردو हिंदी
La phir ek bar wahi baada o jam ai saqi | Shaahi Shayari
la phir ek bar wahi baada o jam ai saqi

Ghazal

La phir ek bar wahi baada o jam ai saqi

Allama Iqbal

;

la phir ek bar wahi baada o jam ai saqi
hath aa jae mujhe mera maqam ai saqi

tin sau sal se hain hind ke mai-KHane band
ab munasib hai tera faiz ho aam ai saqi

meri mina-e-ghazal mein thi zara si baqi
sheKH kahta hai ki hai ye bhi haram ai saqi

sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi
rah gae sufi o mulla ke ghulam ai saqi

ishq ki tegh-e-jigar-dar uDa li kis ne
ilm ke hath mein KHali hai niyam ai saqi

sina raushan ho to hai soz-e-suKHan ain-e-hayat
ho na raushan to suKHan marg-e-dawam ai saqi

tu meri raat ko mahtab se mahrum na rakh
tere paimane mein hai mah-e-tamam ai saqi