la ek KHum-e-sharab ki mausam KHarab hai
kar koi inqalab ki mausam KHarab hai
zulfon ko be-KHudi ki rida mein lapeT de
saqi pae-shabab ki mausam KHarab hai
jam-o-subu ke hosh Thikane nahin rahe
mutrib uTha rubab ki mausam KHarab hai
ghunchon ko e'tibar-e-tulu-e-chaman nahin
ruKH se ulaT naqab ki mausam KHarab hai
ai jaan! koi tabassum-e-rangin ki wardat
phika hai mahtab ki mausam KHarab hai

Ghazal
La ek KHum-e-sharab ki mausam KHarab hai
Saghar Siddiqui