kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
kaisa pagal hai ki pani ko bhi sahra jaane
main wo aawara ki baadal bhi KHafa hain mujh se
tu zamane ko bhi Thahra hua lamha jaane
dhup ki gard fazaon mein dilon mein tabut
har nafas KHud ko bas ek aag ka dariya jaane
os ki bund bhi ab sang-sifat lagti hai
phul ke bagh ko dil aag ka dariya jaane
raat patthar mein Dhali chand bhi kala nikla
aise manzar ko bhi ab aankh tamasha jaane
be-sada gumbad-e-ehsas hua mohr-ba-lab
phul ke dard ka qissa koi kanTa jaane
din ki KHandaq ka dhuan shahr se aage bhi gaya
kis tarah ghar ka pata koi parinda jaane
Ghazal
Kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
Shamim Hanafi

