kyun na hun hairan teri har baat ka
husn muraqqa hai tilismat ka
roun to KHush ho ke piye hai wo mai
samjhe hai mausam ise barsat ka
uThti jawani jo hai to din-ba-din
aur hi aalam hai kuchh is gat ka
ghar mein bulaya hai to kuchh munh se do
sikho ye Dhab hum se mudaraat ka
shaiKH jawan hoga tu pi dekh ise
shishe mein pani hai karamat ka
hum na milen tum se to nikle hai jaan
aur tumhein aalam hai musawat ka
us ne ki ab kam-suKHani iKHtiyar
jis ko maza tha meri har baat ka
aankh bhi milti hai to na-ashna
ab wo kahan lutf ishaaraat ka
rone ki ja hai sun ise ham-nashin
tu to hai mahram mere auqat ka
hukm hua raat ko aao na yan
din ko rakho taur mulaqat ka
dil ke aTakte hi hua hai sitam
farq mulaqat mein din raat ka
baat nai sujhe hai 'jurat' tujhe
main to hun aashiq teri is baat ka
Ghazal
Kyun na hun hairan teri har baat ka
Jurat Qalandar Bakhsh