اردو हिंदी
Kyun kisi se wafa kare koi | Shaahi Shayari
kyun kisi se wafa kare koi

Ghazal

Kyun kisi se wafa kare koi

Yagana Changezi

;

kyun kisi se wafa kare koi
dil na mane to kya kare koi

na dawa chahiye mujhe na dua
kash apni dawa kare koi

muflisi mein mizaj shahana
kis maraz ki dawa kare koi

dard ho to dawa bhi mumkin hai
wahm ki kya dawa kare koi

hans bhi leta hun upri dil se
ji na bahle to kya kare koi

maut bhi aa saki na munh-mangi
aur kya iltija kare koi

dard-e-dil phir kahin na karwaT le
ab na chaunke KHuda kare koi

ishq-bazi ki intiha malum
shauq se ibtida kare koi

kohkan aur kya bana leta
ban ke bigDe to kya kare koi

apne dam ki hai raushni sari
dida-e-dil to wa kare koi

shama kya shama ka ujala kya
din chaDhe samna kare koi

ghaalib aur mirza 'yagana' ka
aaj kya faisla kare koi