اردو हिंदी
Kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz | Shaahi Shayari
kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

Ghazal

Kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

Amirullah Tasleem

;

kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz
kaun sunta hai teri harza-bayani waiz

daftar-e-waz ke nuqte bhi na honge itne
jitne hain dil mein mere dagh-e-nihani waiz

sach sahi jannat-o-dozaKH ka fasana lekin
kis tarah man lun main teri zabani waiz

be-wazu pa-e-KHum-e-baada ko chhu leta hai
KHak aati hai tujhe martaba-dani waiz

narm bhi dil suKHan-e-garm se ab tak na hua
dekh li hum ne teri shoala-bayani waiz

nek-o-bad KHub samajhta hun karun kya ki abhi
sunne deta nahin aashob-e-jawani waiz

rindi-o-zohd riyai mein hain donon yakta
misl mera hai na tera koi sani waiz

ye KHarabaat hai ja KHair se apne ghar ko
munh ki khulwae na phir tez-zabani waiz

aaj samjha gai kya tujh ko ibaadat teri
na raha mashghala-e-ashk-fishani waiz

is qadar hai jo dam-e-naza hawas duniya ki
sath le jaega kya aalam-e-fani waiz

rind hun de mujhe jam-e-mai-athar ki KHabar
tujh ko kausar ka mubarak rahe pani waiz

zard ho jata hai sun kar ruKH-e-gulgun mera
teri taqrir hai ya baad-e-KHizani waiz

naqsha firdaus ka baaton mein dikha deta hai
ye zaban hai teri ya KHama-e-mani waiz

chalte phirte nahin be-wajh ye rona mera
sath phirta hun liye gham ki nishani waiz

kya ruke KHama-e-'taslim' dam-e-fikr-e-suKHan
taba mein aaj hai dariya ki rawani waiz