kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai
aaghaz-e-musibat hota hai apne hi dil ki shamat se
aankhon mein phul khilata hai talwon mein kanTe bota hai
ahbab ka shikwa kya kijiye KHud zahir o baatin ek nahin
lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai
mallahon ko ilzam na do tum sahil wale kya jaano
ye tufan kaun uThata hai ye kashti kaun Dubota hai
kya jaaniye ye kya khoega kya jaaniye ye kya paega
mandir ka pujari jagta hai masjid ka namazi sota hai
KHairaat ki jannat Thukra de hai shan yahi KHuddari ki
jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai
Ghazal
Kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
Hafeez Jalandhari