kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa
sab ajnabi hain ek dil-e-zar ke siwa
is dasht-e-be-KHudi mein ki duniya kahen jise
ghafil sabhi hain ek nigah-e-yar ke siwa
chehron ke chand rakh hue baam bujh gae
kuchh bhi bacha na hasrat-e-didar ke siwa
aalam tamam tirgi-e-dard-e-muzmahil
han ek farogh-e-shola-e-ruKHsar ke siwa
sari shafaq sameT ke suraj chala gaya
ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siwa
jis samt dekhiye hai salibon ki ek qatar
koi ufuq nahin ufuq-e-dar ke siwa
Ghazal
Kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa
Anwar Siddiqui