اردو हिंदी
Kya sahl samjhe ho kahin dhabba chhuTa na ho | Shaahi Shayari
kya sahl samjhe ho kahin dhabba chhuTa na ho

Ghazal

Kya sahl samjhe ho kahin dhabba chhuTa na ho

Abdul Halim Sharar

;

kya sahl samjhe ho kahin dhabba chhuTa na ho
zalim ye mera KHun hai rang-e-hina na ho

yarab mujhe hai dagh-e-tamanna bahut aziz
pahlu se dil juda ho magar ye juda na ho

rahen nikalta hai yahi soz-o-saz ki
pahlu mein dil na ho to koi hausla na ho

tum aur wafa karo ye na manunga main kabhi
us ko fareb do jo tumhein jaanta na ho

kya kya 'sharar' zalil hue aabru gai
aisa bhi aashiqi ka kisi ko maza na ho