kya kare meri masihai bhi karne wala
zaKHm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala
zindagi se kisi samjhaute ke ba-wasf ab tak
yaad aata hai koi marne marne wala
us ko bhi hum tere kuche mein guzar aae hain
zindagi mein wo jo lamha tha sanwarne wala
sham hone ko hai aur aankh mein ek KHwab nahin
koi is ghar mein nahin raushni karne wala
dastaras mein hain anasir ke irade kis ke
so bikhar ke hi raha koi bikharne wala
us ka andaz-e-suKHan sab se juda tha shayad
baat lagti hui lahja wo mukarne wala
isi ummid par har sham bujhae hain charagh
ek taza hai sar-e-baam ubharne wala
Ghazal
Kya kare meri masihai bhi karne wala
Parveen Shakir