اردو हिंदी
Kya kahun kya mila hai kya na mila | Shaahi Shayari
kya kahun kya mila hai kya na mila

Ghazal

Kya kahun kya mila hai kya na mila

Ravish Siddiqi

;

kya kahun kya mila hai kya na mila
dil bhi shayan-e-dilruba na mila

talKHi-e-zindagi are tauba
zahr mein zahr ka maza na mila

hum ko apni KHabar na daman ki
chashm-e-rahmat ko ek bahana mila

lakh milne ka ek milna hai
ki hamein izn-e-iltija na mila

fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmala koi parsa na mila

thi baDi bhiD us ke kuche mein
KHizr aae the rasta na mila

kis se miliye 'rawish' ki dilli mein
sab mile wo KHud-ashna na mila