kya kahin duniya mein hum insan ya haiwan the
KHak the kya the gharaz ek aan ke mehman the
kar rahe the apna qabza ghair ki imlak par
ghaur se dekha to hum bhi saKHt be-iman the
aur ki chizen daba rakhna baDi samjhi thi aql
chhin lin jab us ne jab jaana ki hum nadan the
ek din ek ustuKHan upar paDa mera jo panw
kya kahun us dam mujhe ghaflat mein kya kya dhyan the
panw paDte hi gharaz us ustuKHan ne aah ki
aur kaha ghafil kabhi to hum bhi sahab jaan the
dast-o-pa zanu sar-o-gardan shikam pusht-o-kamar
dekhne ko aankhen aur sunne ki KHatir kan the
abru-o-bini jabin naqsh-o-nigar-o-KHal-o-KHat
lal-o-marwarid se behtar lab-o-dandan the
raat ko sone ko kya kya narm-o-nazuk the palang
baiThne ko din ke kya kya koThe aur dalan the
khul raha tha ru-ba-ru jannat ke gulshan ka chaman
naznin mahbub goya hur aur ghilman the
lag raha tha dil kai chanchal pari-zadon ke sath
kuchh kisi se ahd the aur kuchh kahin paiman the
gul-badan aur gul-ezaron ke kinaro bos se
kuchh nikali thi hawas kuchh aur bhi arman the
mach rahe the chahchahe aur uD rahe the qahqahe
saqi-o-saghar surahi phul itr-o-pan the
ek hi chakkar diya aisa ajal ne aan kar
jo na hum the aur na wo sab aish ke saman the
aisi bedardi se hum par panw mat rakh ai 'nazir'
o miyan teri tarah hum bhi kabhi insan the
Ghazal
Kya kahin duniya mein hum insan ya haiwan the
Nazeer Akbarabadi