kya is ka gila kije use pyar hi kab tha
wo ahd-e-faramosh wafadar hi kab tha
us ne to sada puje hain uDte hue jugnu
wo chand-sitaron ka parastar hi kab tha
hum Dub gae jagti raaton ke bhanwar mein
hath us ka hamare liye patwar hi kab tha
aamon ki hasin rut ke siwa bhi to wo kuke
lekin kisi koyal ka ye kirdar hi kab tha
aawaz jo main dun to kisi aur ko chhu le
is aankh-micholi se wo bezar hi kab tha
tum us ko bure nam se yaro na pukaro
ye nam use bais-e-azar hi kab tha
mashhur-e-zamana hain 'qatil' us ki uDanen
wo dam-e-mohabbat mein giraftar hi kab tha
Ghazal
Kya is ka gila kije use pyar hi kab tha
Qateel Shifai

