kya hua gar shaiKH yaro haji-ul-harmain hai
tauf-e-dil ka haq mein us ke din farz-e-ain hai
raat din jari hain kuchh paida nahin in ka kanar
mere chashmon ka do-aba majma-ul-bahrain hai
ghair jawe us ke ghar aur wo na aawe ghar mere
donon baaten dostan haq mein mere KHabrain hai
waqt fursat de to mil baiThen kahin baham do dam
ek muddat se dilon mein hasrat-e-tarfain hai
aao ai saqi shitabi aa ke sham-e-bazm ho
sari majlis intizari mein teri bechain hai
do qaran guzre isi fikr-e-suKHan mein roz-o-shab
reKHte ke fan mein 'hatim' aaj zulqarnain hai
Ghazal
Kya hua gar shaiKH yaro haji-ul-harmain hai
Shaikh Zahuruddin Hatim