اردو हिंदी
Kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt | Shaahi Shayari
kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt

Ghazal

Kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt

Goya Faqir Mohammad

;

kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt
hain jo shabnam se ashk-bar daraKHt

dekhen gar sarw-qad-e-yar daraKHt
KHak par loTen saya-dar daraKHt

ashk-bar un pe hain jo murgh-e-chaman
pahne hain motiyon ka haar daraKHt

sar-kashi ki hai kya tere qad se
kaTe jate hain be-shumar daraKHt

kya tere qad se dun misal use
ki hai angusht zinhaar daraKHt

tere jalwe se naKHl-e-tur bane
hain jo baala-e-kohsar daraKHt

bed-e-majnun ko dekh o laila
hai ye majnun ka yaadgar daraKHt

dekh kar tujh ko bhul jaenge
gul khilaenge be-bahaar daraKHt

zindagi mein na main ne phal paya
ho na mere sar-e-mazar daraKHt

faeda bhi yahan to nuqsan hai
sang khate hain bar-dar daraKHt

dagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul
hum hain goya shagufa-dar daraKHt