kya farogh-e-bazm us mah-ru ka shab sad-rang tha
shama nahin sharminda aur mah dekh ruKH ko dang tha
kyun na rakhkhun dagh dil par jaise lala dar-e-chaman
KHal ghair-e-fam us ruKHsar par gul-rang tha
sharmgin aankhon se jis jaanib ko paDti hai nazar
nazuki shamshir se bismil pe arsa tang tha
qatl mein aashiq ke shab ko kya tujhe taKHir hai
shor ghul tha dhum thi aur izhdiham aahang tha
aah zari par kisi ki wo na karta tha KHayal
gosh-e-zad-awaz us dam Dholak-o-mirdang tha
ho gaya mahw-e-tamasha ghair ki mahfil mein kyun
ghair tere dil mera jyun shisha waqf-e-sang tha
'afridi' ishq ke bais haya jati rahi
kya hua tere tain dawa jo nam-o-nang tha
Ghazal
Kya farogh-e-bazm us mah-ru ka shab sad-rang tha
Qasim Ali Khan Afridi

