اردو हिंदी
Kya chaara karen kya sabr karen jab chain hamein din-raat nahin | Shaahi Shayari
kya chaara karen kya sabr karen jab chain hamein din-raat nahin

Ghazal

Kya chaara karen kya sabr karen jab chain hamein din-raat nahin

Arsh Malsiyani

;

kya chaara karen kya sabr karen jab chain hamein din-raat nahin
ye apne bas ka rog nahin ye apne bas ki baat nahin

jo us ne kiya achchha hi kiya jo hum pe hua achchha hi hua
ab girya-o-gham kuchh chiz nahin ab nala-e-gham kuchh baat nahin

hum sabr-o-raza ke bande hain jo tum ne kiya sab jhel liya
ab dil mein bhi afsos nahin ab lab par bhi haihat nahin

jab ulfat ka dam bhar baiThe jab chaal hi ulTi chal baiThe
nadan ho phir kyun kahte ho is chaal mein bazi mat nahin

kuchh ranj nahin kuchh fikr nahin duniya se alag ho baiThe hain
dil chain se hai aaram se hai aalam nahin aafat nahin

tum lutf ko jaur batate ho tum nahaq shor machate ho
tum jhuTi baat banate ho ai 'arsh' ye achchhi baat nahin