kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw
nur ke sanche mein Dhaale hain tumhaare hath panw
zoaf-e-piri chha gaya zor-e-jawani chal basa
ab chalen batlaiye kis ke sahaare hath panw
machhliyan bazu pe ubhrin saq-e-pa shamen banin
KHub sahab ne nikale ab to bare hath panw
fauq hire se nahin hai meri jaan yaqut ko
kyun range hain aap ne mehndi se sare hath panw
mani-o-bahzad ne mulk-e-adam ki rah li
wo kamar mutlaq na pai lakh mare hath panw
hum na kahte the ki har dam shoKHiyan achchhi nahin
aaKHirash mehndi ne bandhe lo tumhaare hath panw
hatha-pai mein bhi hum chuke na apne kaam se
wasl ki shab yar ne kya kya na mare hath panw
hai zaifi mein bhi hum ko naujawani ka KHayal
dil nahin haara hai ab tak go ki haare hath panw
ghair ki dhamki se hum Dar jaen ye mumkin nahin
aise bude bhi nahin hain kuchh hamare hath panw
madan-e-yaqut ko dariya banaya aap ne
mehndi mal kar dhoe jab dariya kinare hath panw
is buDhape mein bhi 'agha' so jawan mein ek hai
go zaifi aa gai par hain karare hath panw
Ghazal
Kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw
Aagha Akbarabadi