kucha-e-yar mein main ne jo jabin-sai ki
us ke abba ne meri KHub pazirai ki
main to samjha tha ki wo shaKHs masiha hoga
us ne par sirf meri tara-masihai ki
us ke ghar pe hi raqibon se mulaqat hui
kya sunaun main kahani tujhe paspai ki
mere taya se wo hain umr mein das sal baDi
ghar ke har fard pe dahshat hai meri tai ki
sar khujate jo rahe naKHun-e-tadbir se hum
phir zarurat na rahi hum ko kisi nai ki
wo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji
diplomacy hai ye kaisi meri ham-sai ki
kuchh to badnam hi the ishq-e-butan mein hum log
kuchh raqibon ne bahut hashiya-arai ki
raat hujre mein ilaqe ki police ghus aai
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla
baat niyat ki nahin baat hai binai ki
Ghazal
Kucha-e-yar mein maine jo jabin-sai ki
Zia-ul-Haq Qasmi