kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath
aa gae dasht mein hum bhi dar-o-diwar ke sath
dasht-e-wahshat ne mere noch li shab ki poshak
toD di panw ki zanjir bhi jhankar ke sath
meri tanhai mein ek wajd ki kaifiyyat hai
raqs karta hun main ek aalam-e-asrar ke sath
gunjta hai mere sine ke nihan-KHane mein
sans leta hai koi waqt ki raftar ke sath
kaT Dalunga main KHud apni ana ki shah-e-rag
aaj KHud apne muqabil hun main talwar ke sath
din to KHwabon se ulajhne mein guzar jata hai
raat kaT jati hai aaram se aazar ke sath
jis ko duniya ne bhi bekar samajh rakkha tha
main ne sikha hai bahut kuchh isi bekar ke sath
nazninan-e-KHush-andaam ka shair hun main
baiTh ke dekh kabhi 'shahid'-e-tarrar ke sath
Ghazal
Kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath
Shahid Kamal

