kushada dast-e-karam jab wo be-niyaz kare
niyaz-mand na kyun aajizi pe naz kare
biTha ke arsh pe rakkha hai tu ne ai waiz
KHuda wo kya hai jo bandon se ehtiraaz kare
meri nigah mein wo rind hi nahin saqi
jo hoshiyari o masti mein imtiyaz kare
mudam gosh-ba-dil rah ye saz hai aisa
jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare
koi ye puchhe ki waiz ka kya bigaDta hai
jo be-amal pe bhi rahmat wo be-niyaz kare
suKHan mein soz ilahi kahan se aata hai
ye chiz wo hai ki patthar ko bhi gudaz kare
tamiz-e-lala-o-gul se hai nala-e-bulbul
jahan mein wa na koi chashm-e-imtiyaz kare
ghurur-e-zohd ne sikhla diya hai waiz ko
ki bandagan-e-KHuda par zaban daraaz kare
hawa ho aisi ki hindostan se ai 'iqbaal'
uDa ke mujh ko ghubar-e-rah-e-hijaz kare
Ghazal
Kushada dast-e-karam jab wo be-niyaz kare
Allama Iqbal