اردو हिंदी
Kuchh to is dil ko saza di jae | Shaahi Shayari
kuchh to is dil ko saza di jae

Ghazal

Kuchh to is dil ko saza di jae

Mohammad Alvi

;

kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae

DhunDne mein bhi maza aata hai
koi shai rakh ke bhula di jae

nam likh likh ke tera kaghaz par
raushnai bhi gira di jae

naw kaghaz ki bana kar us ko
bahte pani mein baha di jae

raat ko chupke se ek ek ghar ki
kyun na zanjir laga di jae

nind mein chaunk paDega koi
aao us dar pe sada di jae

aaKHiri sans mahak jaegi
us ke daman ki hawa di jae

sab ke sab yaad chale aate hain
aaj kis kis ko dua di jae

'alwi' hotel mein Thahar sakta hai
kyun use ghar mein jagah di jae