kuchh to ehsas-e-ziyan tha pahle
dil ka ye haal kahan tha pahle
ab to jhonke se laraz uThta hun
nashsha-e-KHwab-e-giran tha pahle
ab to manzil bhi hai KHud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pahle
safar-e-shauq ke farsang na puchh
waqt be-qaid makan tha pahle
ye alag baat ki gham ras hai ab
us mein andesha-e-jaan tha pahle
yun na ghabrae hue phirte the
dil ajab kunj-e-aman tha pahle
ab bhi tu pas nahin hai lekin
is qadar dur kahan tha pahle
Dere Dale hain bagulon ne jahan
us taraf chashma rawan tha pahle
ab wo dariya na wo basti na wo log
kya KHabar kaun kahan tha pahle
har KHaraba ye sada deta hai
main bhi aabaad makan tha pahle
uD gae shaKH se ye kah ke tuyur
sarw ek shoKH jawan tha pahle
kya se kya ho gai duniya pyare
tu wahin par hai jahan tha pahle
hum ne aabaad kiya mulk-e-suKHan
kaisa sunsan saman tha pahle
hum ne baKHshi hai KHamoshi ko zaban
dard majbur-e-fughan tha pahle
hum ne ijad kiya tesha-e-ashk
shola patthar mein nihan tha pahle
hum ne raushan kiya mamura-e-gham
warna har samt dhuan tha pahle
hum ne mahfuz kiya husn-e-bahaar
itr-e-gul sarf-e-KHizan tha pahle
gham ne phir dil ko jagaya 'nasir'
KHana-barbaad kahan tha pahle
Ghazal
Kuchh to ehsas-e-ziyan tha pahle
Nasir Kazmi