اردو हिंदी
Kuchh na kuchh silsila hi ban jata | Shaahi Shayari
kuchh na kuchh silsila hi ban jata

Ghazal

Kuchh na kuchh silsila hi ban jata

Bharat Bhushan Pant

;

kuchh na kuchh silsila hi ban jata
ret par naqsh-e-pa hi ban jata

kis ne kaghaz pe likh diya mujh ko
is se behtar sada hi ban jata

zindagi ki radif mushkil thi
main faqat qafiya hi ban jata

ashk kuchh der ko hi tham jate
kaam bigDa hua hi ban jata

kashtiyan to KHuda chalata hai
kash main naKHuda hi ban jata

kya mila mujh ko nekiyon ka sila
achchha hota bura hi ban jata

manzilon ki kise tamanna thi
bhiD mein rasta hi ban jata

ab to bas ye hawa ki koshish hai
ek baadal ghana hi ban jata

main bhi chehra agar haTa leta
aaina aaina hi ban jata

hum zara aur sabr kar lete
dard shayad dawa hi ban jata

hum se diwane gar nahin hote
shahr ye hadsa hi ban jata