kuchh munh se dene kah wo bahane se uTh gaya
harf-e-saKHawat aah zamane se uTh gaya
hai us ke dekhne ki hawas kya ghazab ki aah
jo tund-KHu Tuk aankh uThane se uTh gaya
puchhi jo us se main dil-e-sad-chaak ki KHabar
uljha ke apni zulf wo shane se uTh gaya
kahiyo saba jo howe guzar yar ki taraf
dil sab taraf se aap ke jaane se uTh gaya
paya jo muztarib mujhe mahfil mein to wahin
sharma ke kuchh wo apne-begane se uTh gaya
hota tha apne jaane se jis ko qalaq so hae
ghabra ke aaj kya mere aane se uTh gaya
hamdam na mujh ko qissa-e-aish-o-tarab suna
muddat se dil kuchh aise fasane se uTh gaya
jab tak tu aae aae ki duniya hi se koi
le jaan tere der lagane se uTh gaya
'jurat' hum is zamin mein kahte hain aur sher
har-chand ji suKHan ke baDhane se uTh gaya
Ghazal
Kuchh munh se dene kah wo bahane se uTh gaya
Jurat Qalandar Bakhsh