اردو हिंदी
Kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise | Shaahi Shayari
kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

Ghazal

Kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

Ehtisham Husain

;

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise
aaj tum aur hi taswir-e-haya ho jaise

yun guzarta hai teri yaad ki wadi mein KHayal
KHarzaron mein koi barhana-pa ho jaise

saz nafrat ke taranon se bahalte nahin kyun
ye bhi kuchh ahl-e-mohabbat ki KHata ho jaise

waqt ke shor mein yun chiKH rahe hain lamhe
bahte pani mein koi Dub raha ho jaise

kaisi gul-rang hai mashriq ka ufuq dekh nadim
nadi ka KHun raat ki chaukhaT pe baha ho jaise

ya mujhe wahm hai sunta nahin koi meri
ya ye duniya hi koi koh-e-nida ho jaise

bahr-e-zulmat-e-junun mein bhi nikal aai hai rah
ishq ke hath mein musa ka asa ho jaise

dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad
zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise

dekhen bach jati hai ya Dubti hai kashti-e-shauq
sahil-e-fikr pe ek hashr bapa ho jaise