kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae
ai kash tamasha karne ko KHud tu bhi kanar-e-baam aae
alfaz na the aawaz na thi nama bhi na tha qasid bhi na tha
aise bhi kai paigham gae aise bhi kai paigham aae
shab mai-KHane ki mahfil mein arbab-e-jafa ka zikr chala
chup sunte rahe hum Darte rahe tera bhi na un mein nam aae
hum garche falak-parwaz bhi hain aur taron ke hamraaz bhi hain
sayyaad pe aaya rahm hamein KHud shauq se zer-e-dam aae
phir lala-o-gul ki nagri se iThlati hui aai hai saba
ai ahl-e-qafas chup-chap suno! phulon ke tumhein paigham aae
ye baat alag hai pas raha kuchh tishna-labi ki ghairat ka
hum par bhi raha saqi ka karam hum tak bhi bahut se jam aae
shab kitni bojhal bojhal hai hum tanha tanha baiThe hain
aise mein tumhaari yaad aai jis tarah koi ilham aae

Ghazal
Kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae
Naim Siddiqi