kuchh ghuncha-labon ki yaad aai kuchh gul-badanon ki yaad aai
jo aankh jhapakte bit gain un anjumanon ki yaad aai
majruh gulon ke daman mein paiwand lage hain KHushbu ke
dekha jo bahaaron ka ye chalan sunsan banon ki yaad aai
thi hosh-o-KHirad se kis ko gharaz arbab-e-junun ke halqe mein
jab fasl-e-bahaaran chiKH uThi tab pairahnon ki yaad aai
kya kam hai karam ye apnon ka pahchanne wala koi nahin
jo des mein bhi pardesi hain un ham-watanon ki yaad aai
shirin ki adaon par mail parwez ki satwat se KHaif
jo ban na sake farhad kabhi un tesha-zanon ki yaad aai
chhaya hai 'qatil' akasr dil par nadida nazaron ka jadu
hum baadiya-paima the lekin phir bhi chamanon ki yaad aai
Ghazal
Kuchh ghuncha-labon ki yaad aai kuchh gul-badanon ki yaad aai
Qateel Shifai

