kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun
zindagi mein pinhan hai ek chubhan na jaane kyun
aur bhi bahut se hain luTne ko duniya mein
ban gae hain rahbar hi rah zan na jaane kyun
un ki fikr-e-ala par log sar ko dhunte the
aaj wo pareshan hain ahl-e-fan na jaane kyun
jis chaman mein sadiyon se tha bahaar ka qabza
us mein hai KHizaon ka ab chalan na jaane kyun
jin gulon se kanTe KHud dur bach ke rahte the
chaak chaak hain un ke pairahan na jaane kyun
ghair kuchh to karte hain pas aur lihaz apna
aur dost hote hain KHanda-zan na jaane kyun
ghunche ghunche ke tewar gulsitan mein badle hain
hum chaman mein rah kar hain be-chaman na jaane kyun
jin ko apna samjhe the karte hain 'kanwal' hum se
dosti ke parde mein makr o fan na jaane kyun
Ghazal
Kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun
kanval Dibaivi