kuchh bhi na jab dikhai de tab dekhta hun main
phir bhi ye KHauf sa hai ki sab dekhta hun main
aankhen tumhaare hath pe rakh kar main chal diya
ab tum pe munhasir hai ki kab dekhta hun main
aahaT aqab se aai aur aage nikal gai
jo pahle dekhna tha wo ab dekhta hun main
ye waqt bhi batata hai aadab-e-waqt bhi
is TuTte sitare ko jab dekhta hun main
ab yan se kaun de meri chashm-e-talab ko dad
jis fasle se bab-e-talab dekhta hun main
in putliyon ka qarz chukata hun kya karun
bas dil se dil milata hun jab dekhta hun main
nakaam-e-ishq hun so mera dekhna bhi dekh
kam dekhta hun aur ghazab dekhta hun main
Ghazal
Kuchh bhi na jab dikhai de tab dekhta hun main
Shaheen Abbas

