اردو हिंदी
Kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do | Shaahi Shayari
kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do

Ghazal

Kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do

Jaleel u0027Aaliu0027

;

kuchh aur mere dard ke shoalon ko hawa do
be-nur hue dagh andhera hai ziya do

pichhe gham-o-andoh ke firaun ka lashkar
aage alam-o-yas ka dariya hai asa do

main dasht-e-gham-e-ishq mein hansta hua aaun
raste se gham-e-dahr ki diwar haTa do

main aur sulagta hua sahra-e-tajassus
bhaTka hua rahi hun koi rah dikha do

kyun meri shikaston ko sahaara nahin milta
insan hun muhtaj KHuda ka hun KHuda do

is shahar mein jine ki hai ab ek hi surat
ehsas ke mansur ko suli pe chaDha do

is daur ka suqraat hun sach bol raha hun
kya der hai kyun chup ho mujhe zahr pila do