kuchh akeli nahin meri qismat
gham ko bhi sath laga lagai hai
muntazir der se the tum mere
ab jo tashrif saba lai hai
nighat-e-zulf ghubar-e-rah-e-dost
aaKHir us kuche se kya lai hai
maut bhi ruTh gai thi mujh se
ye shab-e-hijr mana lai hai
mujh ko le ja ke meri aankh wahan
ek tamasha sa dikha lai hai
aah ko su-e-asar bheja tha
wan se kya jaaniye kya lai hai
'shibli'-e-zar se kah de koi
muzhda-e-wasl saba lai hai
Ghazal
Kuchh akeli nahin meri qismat
Shibli Nomani