اردو हिंदी
Kuchh aarzi ujale bachae hue hain log | Shaahi Shayari
kuchh aarzi ujale bachae hue hain log

Ghazal

Kuchh aarzi ujale bachae hue hain log

Azhar Inayati

;

kuchh aarzi ujale bachae hue hain log
muTThi mein jugnuon ko chhupae hue hain log

us shaKHs ko to qatl hue der ho gai
ab kis liye ye bhiD lagae hue hain log

barson purane dard na aTkheliyan karen
ab to nae ghamon ke satae hue hain log

aankhen ujaD chuki hain magar rang rang ke
KHwabon ki ab bhi fasl lagae hue hain log

kya rah gaya hai shahr mein khanDaraat ke siwa
kya dekhne ko ab yahan aae hue hain log

kuchh din se be-dimaghi-e-'azhar' hai rang par
basti mein us ko 'mir' banae hue hain log