koson dur kinara hoga
kashti hogi dariya hoga
pas tumhein ho tum hi batao
koi mujh sa tanha hoga
aao aur qarib aa jao
waqt bhi rasta takta hoga
tum se hasin to aur bhi honge
lekin koi tum sa hoga
ab to kuchh bhi yaad nahin hai
hum ne tum ko chaha hoga
hum ne gareban chaak kiya tha
hum ko hi KHud sina hoga
jab hum tera nam na lenge
wo bhi ek zamana hoga
wo bhi ek haqiqat hogi
jis ka nam fasana hoga
kal ki fikr kahan tak kije
aur bura ab kitna hoga
han wo 'imam' ek ruswa shaer
tum ne us ko dekha hoga
Ghazal
Koson dur kinara hoga
Mazhar Imam