koi Takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai
meri tamir mein patthar bhi to ho sakta hai
kyun na ai shaKHs tujhe hath laga kar dekhun
tu mere wahm se baDh kar bhi to ho sakta hai
tu hi tu hai to phir ab jumla jamal-e-duniya
tera shak aur kisi par bhi to ho sakta hai
ye jo hai phul hatheli pe ise phul na jaan
mera dil jism se bahar bhi to ho sakta hai
shaKH par baiThe parinde ko uDane wale
peD ke hath mein patthar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki bahar hi numu ho meri
mera khilna mere andar bhi to ho sakta hai
ye jo hai ret ka Tila mere qadmon ke tale
koi dam mein mere upar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki hum haar ke jiten 'tabish'
ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai
Ghazal
Koi Takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai
Abbas Tabish