اردو हिंदी
Koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaen | Shaahi Shayari
koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaen

Ghazal

Koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaen

Akram Naqqash

;

koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaen
dard agar uTThe to kya shor machane lag jaen

bhed aisa ki girah jis ki talab karti hai umr
ramz aisa ki samajhne mein zamane lag jaen

aa gaya wo to dil o jaan bichhe hain har-su
aur nahin aae to kya KHak uDane lag jaen

teri aankhon ki qasam hum ko ye mumkin hi nahin
tu na ho aur ye manzar bhi suhane lag jaen

wahshaten itni baDha de ki gharaunde Dha den
sabz shaKHon se parindon ko uDane lag jaen

aisa daru ho rah-e-ishq se baz aaen qadam
aisa chaara ho ki bas hosh Thikane lag jaen